Saturday, January 3, 2009

kitna tanha hu main

kitna tanha hu main 
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
~
andheri raaton main
khud ko lori suna kar sula leta hu main...
~
jab aansoo girte hai aankhon se
khud-ba-khud pooch leta hu main...
~
jab besahara hota hu
apni baahon ko aashiana bana leta hu main...
~
Jab maut aayegi
khud ko chadar main chupa lunga main...
~
kitna tanha hu main
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: