Sunday, February 1, 2009

kuch is tarah se dil usne tooda mera...

kuch is tarah se dil usne tooda mera
wafa-e-dard kya hota hai samjha gaya...
toofan mein bhi mohabbat ka daaman na choda humne
sahil par lakar, kashti hamari dubaa gaya...
phoolon se sazaa kar rakkha tha, ishq ki chadar ko humne
woh chadar hamari mayyat par chada gaya...
kuch is tarah se dil usne tooda mera
wafa-e-dard kya hota hain samjha gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: