Friday, February 27, 2009

kuch is tarah

kuch is tarah badal gaye hain mere haalat
zindagi ek sawalat ho gaye hain...
~
puch raha hu khud se ek saawal
tu kyon bewafa ho gaye hain...
~
dil main yaadon ki aag bharakane lagi
aankhon main aansoo ki barsaat ho gaye hain...
~
kisse kare teri bewafai ka charcha is jahan main
teri ishq main saari duniya apni dushman ho gaye hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

yun na mil mujh se khafa ho jaise,
sath chal mauj-e-saba ho jaise,

log yun dekh ke hans detey hain,
tu mujhe bhool gaya ho jaise,

maut bhi aayi is naaz ke sath,
mujh pe ehsaan kiya ho jaise,

hichkiyaan raat bhar aati rahi,
tune phir yaad kiya ho jaise,

aise anjaan ban baithe ho,
tum ko kuch bhi na pata ho jaise,

zindagi yun beet rahi hai sanaam
ik be-zurm saza ho jaise.......

ROMIL ARORA said...

"ilzaam lagane se kuch nahi hoga,
yuh ghar par baithe-baithe rone se kuch nahi hoga,
jo kuch karna hain tujhe hi karna hain,
duniya ke jhoote reeti-rewaz todana hain,
mujhe to bas tera intezaar karna hain
bas intezaar karna hain..."