Wednesday, February 25, 2009

meri naina....

meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...
~***~
suraj re aaya re
choti-choti yaadon ke fhank pehlaye
mann main khushiya sajaye
aansoo sang laaye naina...
~***~
shaam se naami main bhar jaate naina
yeh kiske khayal main khoye naina....
~***~
ab to saare begaane lagte hain yahaan
hain nahi yahaan fhir bhi dekhaiye deta hain chehara
anjaana chehara basa kar rakhe naina...
~***~
meri naina
deedar ko pyasi naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...

[written by romil arora-copyright reserved]

3 comments:

Anonymous said...

Kuch is tarha meri aankho mein base hain Aansu,

Hont chup hain to zuban ban k sajey hein Aansu....

Anonymous said...

Aansoo Mein Na Dhoondna Humain,
Dil Me Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Aankhon Mein Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzar Jaayega,
Chand Lamhoon Mein Daaman Chooth Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apki Zindagi Mein Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hain,
Dil Ka Dard Kisse Dikhayain,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hain,
Waqt To Hume Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Mein Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Ki jiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazar Aayenge.......!!

Anonymous said...

all r marvelous compositions,
god bless u,
n ya, many congrats on completions of ur 1000 posts,
may u reach where no body had reached,

ALLWAYS REMEMBER DEAR..
LIVVING IN FAVOURABLE AND NON-FAVOURABLE SITUATIONS IA A PART-OF-LIVING...
BUT SMILING IN ALL THOSES SITUATIONS IS CALLED THE ART-OF-LIVING..

I KNOW U HAVE THE ART

TAKE SPECIAL CARE G