Thursday, February 26, 2009

muqaddar

dil kehta hain ki parinda ban jayun

chod du yeh shehar

kahin durr chala jayun...

fhir khayal aata hain

apni hi mitti main mil jana, parinde ka muqaddar hota hain...

[written by romi arora-copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

sab se chhupa ke dard jo wo muskura diya
uss ki hansi ne to aaj mujh ko rula diya,

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha ke sab kuch ganwa diya,

aawaaz mai thehraav tha aankhon mai nami thi
aur keh raha tha maine sab kuch bhoola diya,

jane kya uss ko logo se thi shikayatein
tanhaiyon ke des mai khud ko basa liya,

khud bhi wo hum se bichhar kar adhura sa ho gaya
mujhe ko bhi itnay logo mai tanha bana gaya.......

take spcl care g

ROMIL ARORA said...

anjabi ki judai main humko khud ki khabar nahi,
$ultan, logon ko kehte suna hai ki anjabi se bichhar kar main ADHURA SA HO GAYA HU...
_______________________

Woh to milta hain bas ek pal ke liye mujhko $ultan
aur kehta hain ki tumne KHUD KO TANHAIYON KE DESH MAIN BASA LIYA,
shayad usko yeh pata nahi tanhaiyon main yeh dil kitne fursat se sochata hain usse...