Thursday, March 26, 2009

~khud se rubaru~ ~sach se rubaru~

humne hamesha uspar aitbaar kiya...bina dekhe usse pyar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"humne nikal kar rakh di, jaan unke samne Romil
magar woh bole, yeh kafi nahi aitbaar-e-mohabbat ke liye"

humne hamesha uski har baat par aitbaar kiya...usne jhoot bhi bola tab bhi aitbaar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"usse jo jhoot bolane ki aadat padh gaye hain Romil,
kasoor mera tha jo uski har baat par aitbaar kar leta tha"
woh humko apna rabb kehti thi...magar ek baar bhi apne rabb se nahi milana chah...aur hum hamesha usse milane ke liye betaab rahe...
"main sochata tha woh shaks mujhe phool samajhata hain Romil
magar woh mujhe kaanta samaj kar pass na aaya kabhi"
usne kahan hum maut ke daaman main hain...fhir bhi humne uska saath nahi choda...maut ke safar main bhi uska haath pakade rahe, nahi choda...magar jab hamara accident hua, tab woh insaan ek baar bhi humse hamara haal bhi nahi puchane aaya...
"woh humko bewafa kehta hain Romil
zaara unse koiye waafa ka matlab to puche"
humne har kadam par uska saath daine ki poori koshish ki...uska har dukh apna maana...uske har dukh main hum rooye...magar aaj hum khush hain to unke parivar wale yeh keh rahe hain ki hum khush kyon nahi....kyon jee rahe hain apni zindagi....kya kiya uske parivar waalon ne kabhi hamare dukh-dard ke liye jo aaj woh hamari khushi par aitraaz kar rahe hain....
"jab unki judai main hum footh-footh kar roye to kisi ne dekha nahi Romil
aaj unki baanton ko yaad kar-karke muskura rahe hain to gunehgaar ho gaye"
kasoor kissa tha romil...yeh main nahi keh sakta...magar hum itna jante hain ki hamara kasoor bilkul nahi tha...bilkul nahi tha...
"yeh kehna bahut mushkil hain ki kasoor kiska tha Romil
mera ya uska...
magar itna janta hu ki dono ne zindagi khoye hain...
ek ne maut paaye hain to ek ne tanhai paaye hain..."

[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: