Tuesday, April 14, 2009

bin tere ab raha nahi jaata...

suno humsafar mere...

tum bin ab raha nahi jaata
yeh mohabbat ka gum ab saha nahi jaata
akele tanha raaton mein, main tadapta rehta hu
ab tanhaiyon mein raha nahi jaata...
~!~
raat jaise kaali naagin si ban jaati hai
main lipatata rehta hu usse...
raat jaise aag si sulagti rehti hai
main sulagta rehta hu andheron se...
ab aise sulga nahi jaata
sach kahu, bin tere raha nahi jaata...
~!~
kuch pal ke liye hi sahi tum aa jayo
mujhe apni ek jhalak dekha jayo
in naino ko thoda sa sakoon de jao
sach hai, bin tere ab raha nahi jaata...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: