Saturday, June 27, 2009

kaise usko khushi de payun...

aaj mujhe ek bichara hua saathi mila!
mujhse bola
tum kuch badale-badale se dekhate ho
aankhon main tumhare ab mohabbat ka rang bhi nahi
baathon main woh tehzeeb, sharafat bhi nahi
soch ki anghithi main jale ja rahe ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
ab woh chanchalata bhi nahi
dua ke liye haath tumhare uthate bhi nahi
haasana to jaise tum bhul gaye ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
barsat ki baucharoon main jale ja rahe ho
phool ho kanjhar main piroye ja rahe ho
chup-chup gum sum rehte ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
main bola
pehle to veham tha ki yaar mujhse bichad kar dukhi-dukhi rehta hain
ab haqiqat nazar aa rahe hain to mann ko kaise samjhau...
jahan se bhi mil jaye khushi
main uske liye le aayun
khuda kuch to usko pyar ka toofha de payun
kaise apne mann ko samjhau...
kaise usko khushi de payun...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

1 comment:

Anonymous said...

Zindagi mohtaz nahi manzilo ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.

Yaad karte hai tumhe tanhayee main,
Dil duba hai gum ki gahraye main,
Tum dhoondti ho humein apne dil mein,
Hum milenge tumhe tumhari parchayee main.

Tu chandramukhi main suryamukhi,
Tu bhi dukhi main bhi dukhi,
Tu chatt se neeche kud ja,
Tu bhi sukhi main bhi sukhi.