Thursday, June 25, 2009

kyon lagta hain...

rehte ho tum hamesha mera saath
fhir bhi
yeh zindagi ka safar tanha sa kyon lagta hain...
~*~
tum bhi wahi
main bhi wahi
fhir bhi
yeh saath adhura-adhura sa kyon lagta hain....
~*~
hain chaman bhi wahi
hain aashaiyana bhi wahi
fhir bhi
sab kuch bhikhara-bhikhara sa kyon lagta hain...
~*~
kisko maloom tha din yeh bhi aayega
jab apna saaya bhi ajnabhi ho jayega
haath main hain mehboob ka haath
fhir bhi
yeh haath khali-khali sa kyon lagta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Shivani said...

Mjhe bhi nahi pata Sunny, aisa kyun lagta hai,
tmhare hote huye bhi mjhe akelapan kyun lagta hai..
Tm mere sath ho phir bhi Tanhaiyon ka saya kyun lagta hai..
I miss u yaar, i miss those happy movements which we had spended toghether...
mjhe vo time phir se vapas chahiye..
mjhe apna hasta hua pyar vapas chahiye.

ROMIL ARORA said...

main bhi yahi dua karunga ki fhir hum saath-saath khush rahe....