Monday, June 1, 2009

terey pehlu par ....

terey pehlu par kabhi rakh kar sar main so jayun
kaash zindagi ke kuch pal main jee jayun.
~*~
dekhane wale dekhate rahe nigaah teri
teri nighaaon main, main bas jayun.
~*~
nahi milega itna chahane wala mujhe koiye
yeh daar chod kar jayun to kahan jayun.
~*~
luuta dun yeh zindagi teri raah main
is kadar prem amar main kar jayun.
~*~
terey pehlu par kabhi rakh kar sar main so jayun.....
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

No comments: