main bhi kitna pagal tha
titliyoon ke naam rakha karta tha...
***
jab phool khelate the
main tumhara aks dhundha karta tha...
main bhi kitna pagal tha
titliyoon ke naam rakha karta tha...
***
tapati doop main
sard haawaon main
baarishoon main
main tere peeche peeche bhagha karta tha...
main bhi kitna pagal tha
titliyoon ke naam rakha karta tha...
***
jab tum nahi aati thi
teri yaadon main uljha-uljha rehta tha
subah se shaam tak udaas intezaar karta rehta tha
main bhi kitna pagal tha
titliyoon ke naam rakha karta tha...
***
main bhul gaya tha
titliyoon ke to paankh bhi hote hain
khushaboo ki chahat main woh durr uda jaate hain
fhir kabhi laut kar naahi aa paati...
fasle barh jaate hain...
main bhi kitna pagal tha
titliyoon se dosti kiya karta tha...
***
main bhi kitna pagal tha....
[written by romil arora - copyright reserved]
2 comments:
nice one raj,
eh duniya ik saran lagdi,
koi aa janda koi chala janda,
koi phullan naal russ behanada,
te koi kandeya naal v nibha janda.
true...tkcr..
Post a Comment