Saturday, August 1, 2009

raat bhar tak-taki laga kar Chand ki taraf dekhata rehta hu main...

raat bhar tak-taki laga kar chand ki taraf dekhata rehta hu main
shayad chandani ban kar woh mere aangan mein utar aaye...
~*~
aankhen intezaar karti hue dekhati hain aasman ki taraf
shayad aansoo ban kar woh meri aankhon mein utar aaye...
~*~
ibadat karta rehta hu us khuda ki is dua ke saath
woh jaha bhi rahe khushiyon ke kamal khil jaye...
~*~
aakhiri aarzoo hai khuda se bas itni
mere janaze ki mitti, uske pairon ko chu jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: