Friday, September 25, 2009

na kisi ki zindagi barbaad karna...

bas itna sa kehna hain tumse
kabhi na fhir kisi se tum mohabbat karna
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
baarish main beh jate hai jaise mitti ke ghar
kisi ke sapne na fhir aansoo mein bahana
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
intezaar karte-karte pathar na ban jaye yeh aankhein
isse pehle inko bhujha dena
na kisi ki zindagi barbaad karna...
~!~
do pal ke liye hi sahi mujhe yaad karna
apne honton par muskaan rakhana
na kisi ki zindagi barbaad karna...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: