Tuesday, November 24, 2009

Asha...

subah-subah jab uthata tha
aangan mein mere
chi-chi ki aawaz sunai deti thi...
ek chidiyaan apne char baachon ke saath wahan rehti thi....
***
din bhar hoti kitni chehal-pehal mere aangan mein
chidiyaan apni chonch se baachon ko khana khilati thi...
***
shaam hote hi sab chup-chap apne ghosale mein baith jaate the
chidiyaan ke saath bade prem se sote the...
***
ek din subah utha
mere aangan mein ghosala pada tha
na chidiyaan thi
na koi uska baacha tha...
na jaane kaha woh sab apna ghosala chhod kar chale gaye the
shayad unke pankh nikal aaye the
aur sab ab udne lage the...
***
main roz subah sune aangan ko dekhata hu
us ghosale ko roz sajata hu 
isi asha ke saath
fir koi chidiyaan aayegi
fir mere aangan mein chehal-pehal hogi...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: