Saturday, December 26, 2009

aaise na humse waafa tu kar...

aae bewafa humko tanha na kar aaise na humse waafa tu kar...
***
jab hum teri bewafai ko yaad karke rote hain
tab hi to chain se sote hain...
meri aankhon se neend ko aazad na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
pehle tere peeche yunhi fira karte the aawara ban kar
ab ghar main baith kar khud se teri baatein kiya karte hain
fhir humko aawara na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
ishq main hum to rabb (NAAZ) ho bhul chuke the
tujhe apna rabb samajhate the
jab se ki tune humse bewafai
apne rabb ki panah main rehte hain
ab humko rabb se durr na kar...
aaise na humse waafa tu kar...
***
aae bewafa humko tanha na kar
aaise na humse waafa tu kar...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: