Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: