Saturday, December 19, 2009

Na unse nazrein milti na izhaar hota na is kadar yaaron apna bura haal hota...

{gum-e-dil main dooba hu
aur aaksh na aaye aankhon mein
main insaan hu khuda nahi}
__________
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
yunhi na guzarti apni zindagi chaar-deewaron mein
na apni shaam ka bura haal hota...
***
dube rehte na hum yunhi mohabbat-e-gum mein
na apni khushiyon ka bura haal hota...
***
do qadam hi unke saath chale the
ki chheel gaye paav hamare
thoda aur door unke saath chalte
to na jaane apna kitna bura haal hota...
***
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: