Thursday, December 24, 2009

kisi ne usko samjhaya to hota...

kisi ne usko samjhaya to hota
woh ho rahi hai bewafa yeh batlaya to hota...
***
uski yaadon mein jo beh rahe hai aansoo mere
kisi ne usko dekhlaya to hota.
kisi ne usko samjhaya to hota...
***
woh pal-pal tadapta hai teri yaadon mein
tera naam lekar pukarata hai raaston mein
kisi ne usko kahan to hota.
kisi ne usko samjhaya to hota...
***
tera naam haatheli par likh kar chuma karta hai
teri tasveer aasmaan mein banaya karta hai
kisi ne usko batlaya to hota.
kisi ne usko samjhaya to  hota...
[written by romil arora - copyright reserved]  

No comments: