Wednesday, December 30, 2009

woh mann se sundar thi...

ab aksar chup-chup kar ro laite hain
jinki muskaan phool kheela daite thi...
ab aksar chup-chap rehti hain
jinki baatein sabko haansa daite thi...
***
uska udas chehara to dekho
hooton main thehari haansi to dekho
pass se guzare to haawan bhi nahi udati hain
jiski mehak, gulsan mehka daite thi...
***
aansoo ka jo suru hua hain silsila girane ka thamta nahi hain
woh roote hue ke hoonton par muskaan saaja daite thi...
andheroon main rehti hain roshani main aati nahi hain
jo subah ka suraj hua karti thi...
khuda ka itna sitam kisi par maine dekha nahi hain
ab kya kahe uski baatein
woh mann se sundar thi...
woh mann se sundar thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: