yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
sab sunate hain mooh ki baatein
koiye na jaane kya beeta hain mere saath main...
***
yunhi fhirta rehta hu...
***
raaton ko utha-utha kar darwaze par baith jaata hu main
lagta hain jaise chand se utar raha hain woh...
sadiyoon-sadiyoon yunhi khojata hua
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
woh mera aaina uski parchaiye hu main
ek hi kamre main qaid rehte hain dono
kabhi main kehta, sunti hain woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
ghantoon baitha rehta saagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhata raha
tum nahi aaye milane mujhse
sadiyoon khamoosh gumsum sa raha main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
[written by romil arora - copyright reserved]
No comments:
Post a Comment