Sunday, January 17, 2010

khuda ka shukr hain...


apni waafa na sahi, bewafai ka ilzaam to aaya
shukr hain, uske hoonton par mera naam to aaya...
***
kaantein chube haanton main koiye baat nahi
shukr hain, mere hisse main bhi gulab to aaya...
***
koiye baat nahi jo usne mujhe dekh kar raasta badal liya
shukr hain, usse meri badnaami ka khayal to aaya...
***
yaadon ne din-raat bahut rulaya, gum nahi
shukr hain, issi bahane mere laboon par har pal uska naam to aaya...
***
abaad nahi barbaad hi sahi
shukr hain, yeh mohabbat ka paagalpan kuch kaam to aaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: