Wednesday, January 13, 2010

zindagi ke safar main chalte hain...

na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
***
tere baaton main khoya-khoya sa din betata hain
tere khaton ko kabhi padh kar haste hain
kabhi rote hain....
***
na fikar hain humko apni
na zamane ki fikar hum karte hain
khawabon main jeete hain
khawabon main marate hain...
***
kaun hain apna
kaun hain paraya
yeh sab beekar ki baatein hain
jo kehta hain salam usko salam keh daite hain
jo kehta hain khuda hafiz usko khuda hafiz keh daite hain...
na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: