Saturday, February 13, 2010

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

MANAGEMENT MASTI MAIN...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

Humko yeh hamesha pata hona chahiye ki humko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur humko kaun sa kaam karna hain... humko kis tarah ka support apne junior staff ko dena hain...

Example: -
Agar main koiye kutta palata hu to mujhe yeh pata hona chahiye ki usko kis darwaze par baithana hain...
Usko kab aur kis samay bhojan dena hain...
Usko kab-kab vaccination lagwana hain...
Usko kab-kab baahar thelane le jaana hain...
MAGAR MAIN BHOOK NAHI SAKTA... KYUNKI BHOOKHANE KA KAAM US KUTTE KA HAIN... 
JO AAPKA KAAM HAIN WOH HI AAP KARE... AGAR AAP BHI KUTTE KI JAGAH BHAUKANE LAGOGE TO FHIR KUTTA PALANE SE KYA FAIDA???

Second example dena chahunga...
Agar mere koiye mithai ki shop hain... To mujhe yeh pata hain ki halwai ko kab aur kitni sugar purchase karke daine hain, kitna milk purchase karke dena hain, kaun-kaun se usko utensils purchase karke dena hain... MAGAR MAIN MITHAI NAHI BANAUNGA... KYUNKI YEH KAAM HALWAI KA HAIN... AGAR MUJHE HI MITHAI BANANI HAIN TO FHIR MAIN KYON HALWAI KO RAKHU... FHIR HALWAI RAKHANE SE KYA FAIDA???

Isliye main kehta hu ki aapko hamesha pata hona chahiye ki aapko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur aapko kaun sa kaam karna hain... kis tarah ka support aapko, apne junior staff ko dena hain... Dono ki responsibilities ek dum clear honi chahiye...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

No comments: