Thursday, February 4, 2010

mujhe sochana padega...

Mohabbat main kha chuka hu kaiye baar dhoka
ab kisi par bhi yakeen karne ke liye mujhe sochana padega...
***
Samaj nahi aata kya karu uske khataon ka
ab uske khat jalane ke liye mujhe sochana padega...
***
Uski bewafai ki ada jo maine dekhi
ab apne waafa ki ada ke baare main mujhe sochana padega...
***
Rabb kehta tha ki woh tera hain
Ab rabb ke vaadon ke baare main mujhe sochana padega...
***
Woh to alvida keh kar juda ho gaya Romil
Ab uski yaadon ko alvida kehne ke liye mujhe sochana padega...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: