Thursday, February 18, 2010

Rabb janta hain...

Kyon mila mujhe bewafa ka saath Rabb janta hain
Kyon toota mera dil baar-baar Rabb janta hain...
***
Thi to uski baaton main mohabbat
Dil main kyon jehar bhara hua tha, Rabb janta hain...
***
Aankhon main kyon aate hain khawab
Fhir kyon aansoo ke saath beh jaate hain, Rabb janta hain...
***
Intezaar ka pal kyon nahi khatam hota,
Kyon aati hain intezaar-e-shaam, Rabb janta hain...
***
Parwane ko kyon hoti hain shaama se mohabbat,
Kyon parwana shaama main jal jaana chahta hain, Rabb janta hain..
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: