Friday, February 12, 2010

"YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU"


प्रबंधन की कुछ दिलचस्प बातें बताने की कोशिश करूँगा. आशा हैं की आप इससे सकारात्मक लेंगे, नकारात्मक नहीं लेंगे. अगर गलती हो तो कृपया इससे सुधारने में मेरी मदद करे.

MANAGEMENT MASTI MAIN...

"YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU"

Maine bahut se employee ko yeh kehte hue suna hain ki main sirf is company main service karta hu, is company se sirf mera rishta service ka hain... Aaj is company main service kar raha hu, kal dusari company main service karunga, paraso KHUD KI COMPANY START KARUNGA... KHUD ENTREPRENEUR BANUGA...

Main hamesha imandar, sacche employee ko yeh hidayat deta hu ki kaho "YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU...

Kuch baatein khud se pucho... Jo main khud se hamesha pucha karta tha... Jiski wajah se aaj main yeh kehta hu ki "YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU" 

1. Kya kabhi aapne, apni company ki table, chair saaf ki hain???
Maine bahut baar apni table saaf ki hain... Jab meri sansthan ka office ek room main chalta tha... jab main hi sirf uska employee tha, tab main hi sabhi table saaf kiya karta tha... kabhi-kabhi to office main jhadhu bhi laga diya karta tha...
Aaj nahi karta hu, kyunki aaj sansthan baadi ho gaye aur is kaam ke liye ek jimmedaar insaan ko rakha gaya hain...  
[Ek entrepreneur bhi apni company ko hamesha saaf-shuthara chahta hain, woh bhi chahta hain ki har table, har chair, poora office ek dum clean ho. AGAR AAP AAISA KARTE HAIN TO AAP BHI ENTREPRENEUR HAIN]

2. Kya kabhi aapne, apni company ka business badaya hain???
Yeh mera saubhagya hain ki, apni sansthan ka har proposal sabse pehle main hi banata hu, fhir usko draft bana kar apne boss ko deta hu... kabhi-kabhi english language main problem hote hain, magar manage kar laite hu ya fhir apne boss se help le laita hu... main hamesha newspaper/ website/ contact se apne sansthan se liye business ki talash karta rehta hu aur apne boss ko aakar banata hu...
[Ek entrepreneur bhi apni company ko hamesha badana chahta hain, apni company ke liye naya business dhundha karta hain. AGAR AAP AAISA KARTE HAIN TO AAP BHI ENTREPRENEUR HAIN]

3. Kya kabhi aapne, finance main fraud kiya hain???
Main is sansthan main minimum 08 years se accounts ka kaam dekh raha hu... Maine aaj tak is sansthan se ek bhi rupiya ka fraud nahi kiya na hi kabhi sansthan ke rupiya ka duruprayog kiya na hi kabhi sansthan ke rupiya ko bewajah spend kiya...
[Ek entrepreneur bhi apni company main fruad nahi karta hain, na hi kabhi rupiya ka druruproyog karta hain. AGAR AAP AAISA KARTE HAIN TO AAP BHI ENTREPRENEUR HAIN]

4. Kya kabhi aapne, apne company ki ya company ke product ki ya company ke kaam ki burai ki hain???

Main kabhi kisi dusare se apni sansthan ki burai nahi karta, na hi sansthan ke kaam ki burai karta hu... Yeh sahi hain ki main apne boss se jarur sansthan ke kharab kaam ki burai karta hu, taaki sansthan ka kaam aachi tarah se ho sake, hum aacha outcome de paye aur sansthan ka naam ho sake...
[Ek entrepreneur bhi kabhi apni company ki burai nahi karta aur agar kuch galat ho raha hain to usko thik karta hain. AGAR AAP AAISA KARTE HAIN TO AAP BHI ENTREPRENEUR HAIN]
 
sirf itna hi fark hain mujhme aur mere boss main.....
MUJHE APNE KAAM KE LIYE SALARY MILTI HAIN AUR MERE BOSS KO PROFIT KA HISSA MILTA HAIN.
USNE IS SANSTHAN KO START KARNE KE LIYE CAPITAL FUND LAGAYA AUR MAINE ISKO BADANE KE LIYE MEHNAT KI, APNA SAMAY DIYA...

Main is sansthan ke Board of Members main nahi hu, fhir bhi main yeh garv se kehta hu ki "CREATE MERI SANSTHAN NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU"

Kyunki MAINE HAMESHA SANSTHAN KO AAGEY BADAYA HAIN, HAMESHA USKA PROFIT SOCHA HAIN... ISLIYE MAIN ENTREPRENEUR HU...

No comments: