Tuesday, March 30, 2010

Haavas ki chahat main...

Haavas ki chahat main jism jal jaata hain
Bhare hue ghar main insaan tanha nazar aata hain...
***
Mohabbat ke naam par mann ka sauda karte hain
Yahaan badan rupiyoon main lipata nazar aata hain... 
***
Kyon karte ho jannat ki aarzoo Romil
Pathar main bhi Rabb nazar aata hain...
***
Fhirte rehte ho tum shehar ki beedh main Romil
Naaqab main kahan chehara nazar aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: