Monday, April 12, 2010

bahut ajeeb hota hain

bahut ajeeb hota hain
din-bhar awaragardi karna
shaam hote hi ghar jaana...
***
ajeeb rasm hain duniya ki doston
tanhai main chup-chup kar rona
mehfil main muskurana...
***
meri mohabbat bhi duniya ke liye khabar ban gaye yaaron
jaisa kisi bekasoor ka hadsa main marr jaana...
***
meri zindagi kuch is tarah viraan kar gaya woh Romil
jaise parindoon ka kisi paid ko chod kar udha jaana...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: