Friday, May 14, 2010

chote se sawaal ka jawab de na paye

chote se sawaal ka jawab de na paye
aur karte ho IMTIHAANO ki baat...
aashiq hote to samajhate tum
diwane ki baat...
________
Baat purani nahi hue hai yeh
Sagar aaj bhi Saahil ko dekh kar angadai leta hai...
*
Saawan ka mausam jab-jab aaye
Mor aapne pankh fhela hi leta hai...
*
Chahe gulab kitabon mein rakkha kitna bhi purana kyon na ho jaye
aaj bhi beeti yaadein jaaga hi deta hai...
*
Chehra badal jaye
Umar dhal jaye
magar ehsaas na juda ho
Saaz chahe kitna bhi purana kyon na ho
Hoonton par aaye to tarana baana hi deta hai...
_______
BEWAFAI KA ILZAAM NA DENA
PEHLE KHUD APNA GIREBAAN JHAAK LENA...
JISE ISHQ NE PAAGAL BANA DIYA HO
USE ZINDAGI JEENE KA PAIGAM NA DENA...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: