Thursday, June 17, 2010

bahut dino baad...

bahut dino baad fhir aisa mausam aaya hain
meri nazaron main tera chehara nazar aaya hain...
bahut dino baad...
***
kisko sunau dil-e-haal main
chand bhi tere samne thoda feeka nazar aaya hain...
bahut dino baad...
***
ek pal ko thehar jao tumko meri qasam hain
jaan na nikal jaye, qayamat ka din aaya hain...
bahut dino baad...
***
Gustakhi na samajhana, chu kar dekh lu agar main tumko
kahin mujhe koiye din main sapna to nahi aaya hain...
bahut dino baad...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: