Saturday, June 5, 2010

NaaZ... yaad hain woh din...

NaaZ... yaad hain woh din...

Jab ghutane, haaton par choot lag jaye to mitti laga liya karte the...
Jab halki-halki hoonton se ghaav par haawan diya karte the...
Jab khoon nikalane lage to bidi ka kaagaz laga liya karte the...
***
Jab hum log aais-paais khela karte the.... - main aao... main aao... mai aao.... aa jaa...
Jab gali ki sadko par kanche khela karte the.... 
Jab chaat par patang-baazi ki karte the... Ek patang lootane ke liye daure chale jaate the..
***
Jab baarish ki rimjhim main pani main chap-chap kiya karte the...
Jab kaagaz ki naav banaya karte the...
***
Jab chaar aane ke 02 parle ki toffee liya karte the... ek tumko khelate the aur ek khud khaya karte the..
Jab pachas paise ki orange wali ice cream liya karte the... thodi-thodi khate the...  
Jab khatti imali, khaata-meetha churan khaya karte the...
Jab chaar-chaar aane gullak main jaama kiya karte the... 
Jab bhel-poori khaya karte the...
***
Jab kachche aam aur imli…bel, jaamun paid se thoda karte the...

baagh se thoda karte the...
Jab doordarshan par nukkad, circus, hi-men, vikram baitaal, chitrahar, mungare lal ke haseen sapne… dekha karte the...
Jab subah-subah mahabharat aur ramayan dekha karte the aur saath-saath break-fast kiya karte the..
Jab sunday movie ke saath chai aur papad khaya karte the...  
***
Jab copy aur kitabon ko akhbaar ke cover se sajaaya karte they…

Natraj ki pencil baar-baar cheel kar uski nook banaya karte they…
Pen se likhane ki koshish kiya karte they…
Sulekha ink ka neela dhabba aaj bhi yaad hain...
***

Jab hum postcard ko kisi ke ghar par lage post-box main galti se daal aate the..
Jab hum kisi ke ghar ki bell chupke se baja kar bhaag jaya karte the...
Jab hum chori se kisi ke paid se phool churaya karte the...
***
Jab hum mela dekhane jaya karte the... aur jhula jhula karte the
Jab cinema haal main popcorn khate khate movie dekha karte the
Jab ghar se poori-sabji bana kar picnic par jaya karte the...
***
Bahut se aise pal hain jisse hum NaaZ bhool nahi sakte..sachi...
[INSPIRED-WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

No comments: