Friday, July 16, 2010

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai...
*
kabhi khud par sarmindagi hone lagati hai
kabhi khud ki sanjeedagi yaad aa jati hain...
*
mujhpar shaq karne ki aadat purani thi tumhari
kabhi tumhari jurm ki kahani yaad aa jati hain...
*
zindagi kam hai itna to pata tha mujhe
safar main akele chod jaane ki ada yaad aa jati hain...
*
bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai..
[written by romil arora - copyright reserved] 

No comments: