Monday, August 2, 2010

tuhi... mere dil ka chain hai...

tuhi... mere dil ka chain hai...
tuhi... mere yaadon ki mehak hai...
tuhi... mere khawabon ki dhundali tasveer hai  
tuhi to hai woh
jiska mujhe intezaar hai....

tu hai kahaan
itna bata...
tujhe dhoondhata main fhir raha...
***
yuhi... aaj dil udas hai...
yuhi... tere aane ki koiye aas hai...
yuhi... chand chupa-chupa badalo main...  
yuhi... main kara hoon tera intezaar

tu hai kahaan
itna bata
tujhe dhoondhata main fhir raha...
***
choo jaye... woh teri baatein ab kahan
choo jaye... woh khamosh ehsaas... woh raatein ab kahan
choo jaye... woh gumsum gumsum fizayeein ab kahan
ab kahan
ab kahan

tu hai kahan
itna bata
tujhe dhoondhata main fhir raha....
[written by romil - copyright reserved]

No comments: