dheere dheere umar kat jayegi
saath bas yaadon ki kitab reh jayegi
waqt ke saath shayad sab kuch haasil kar lunga
bas mere dil mein tujhe na paane ki kasak reh jayegi...
kabhi dhoop si hai
kabhi badliyaan bhi hai
na jaane yeh zindagi abhi aur kitne mausam dekhayegi...
ek muddat se khabar bhi nahi aai teri
meri roti hui aankhon ko na jaane tu kitna aur rulayegi...
mitti ke bane ghar mein aaj bhi teri mithas hai
pata nahi kab tu fir us ghar ko lapane (paint) aayegi...
nibhane ki chahat agar ho to dono taraf
saath nibhane ki chahat agar ho to dono taraf
maut bhi kisi rishtee ko nahi toodh payegi...
dheere dheere umar kat jayegi
saath bas yaadon ki kitab reh jayegi
romil saath bas yaadon ki kitab reh jayegi...
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬[भालू]▬▬▬
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬[भालू]▬▬▬
No comments:
Post a Comment