Wednesday, July 24, 2013

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon
Mujhe kya wasta Baishkeemati Mandiron mein kaun-kaun rehta hai.

Bacchein bhi pal bhar mein samajh jaate hai amiri-garibi ka fark
Na Jaane masumo mein kyon yeh hunar rehta hai.

Nahi sunta hai meri, to masoom bacchon ki sun le khuda
Suna hai maine bacchon mein paigambar, farista rehta hai.

aur

Mat toodh khandar samajh kar is makaan ko
Is makaan mein ek chidiyon ka khandan rehta hai.

aur

Woh pagal, pardesh ki jannatein chhod kar aa gaya
Kehta hai Romil, goan mein uska purana dost rehta hai.

No comments: