Friday, March 30, 2018

Kabhi tu mera Khuda ban ja...

Kabhi tu mera Khuda ban ja...
Mere dil mein jo baat dabi hui hai, tu pass aakar sun ja.. 
Kabhi mera Khuda ban ja...

Kabhi meri adhuri padi khawaish poori kar ja...
Kabhi meri hansi pe tu bhi zara muskura ja...
Kabhi mera Khuda ban ja...

Kabhi band aankhon se deedar karke chali ja...
Kabhi Chand-taaron sang chhat pe thehal ja...
Kabhi tu mera Khuda ban ja...

Kabhi raat bhar chand ko dekhana, tera naam lekar na pukarana...
Kabhi andheron ke saath lipatna...
Kabhi Kitabon ki tarah tujhse baat karna...
Kabhi tere khayalon mein kahan se kahan nikal jana...
Kabhi baithe-baithe hi teri ibadat karna...
Kabhi mera Khuda ban ja...

#Romil Arora

No comments: