Tuesday, April 17, 2018

Insaan mein emaan abhi zinda hai...

Dil-e-Khuddar abhi zinda hai...
Pyar abhi zinda hai...

Kudrat ne nawaza hai khud tumhein...
Insaniyat abhi zinda hai...

Deewarein bolti hai mujhse uski baatein...
Yeh makaan abhi zinda hai...

Buniyad iski bahut gehri nikali...
Yeh dariya abhi zinda hai...

aur

Udas log hi usko pasand hai shayad...
Yeh maskari-e-yaar abhi zinda hai...

aur

Bhookh ne maar diya use par woh Roti chori kar na kha saka...
Insaan mein emaan abhi zinda hai...

#Romil Arora

No comments: