Tuesday, May 1, 2018

Uljhane hi Uljhane...

Uljhane hi Uljhane...

Sirf In+dU hi nahi... Aur bhi bahuton se pareshan hun...

Ik rupiya ke chote wale sikke ne pareshan kr rkha hai...
Bikhari ko do... to woh bhi lauta deta hai...

Dus rupiya ka sikka... Samajh hi nhi aata kon sa chal rha hai kon sa nhi chalta...
Roz koi na koi jhik-jhik kr hi leta hai...

Duniya lagi hai Tarah-Tarah ke shadyantra rachane mein... Naye-Naye kaand rachane mein...
Koi gap marta us ladki ko SMS kiya... Koi gappe krta usko prem-patra likha... Koi meri shaadi-bacchon ki gappe hakata...
Na koi ladki Rubaru hokr humse baat krti... Na face-to-face Ilzaam lagati hai...
Pata nahi kya drama chal rha hai...
Poore shehar, poori dunia mein mere naam ka dhindhora-nagada peeta hua hai...

Ik baar pata chal jaye to saale ko patak ke marna hai...


Kudhe uthane wala... Mahine ke 10 din aata baki din absent rehta...
Paisa poore mahine ke le jaata hai...

Bank mein lagi line ko dekh hum soche Bank walon ne Choley-Poori ka langar lagaya hai...
Baad mein pata chala yaha par to 500/-, 1000/- ka note badla ja rha hai...

Insurance wala installment ke liye pareshan krta hai...
Mutual Fund wala alag call kiya krta hai...
Atal Pension Scheme ki installment bank auto hi deduct kr leta hai...
Electricity wala har mahine ghar aakar bill thama jaata hai...
Inhi lafdon mein Bank deposit sab khatam ho ja raha hai...

Mahino beet gaye Pizza nhi khaya hai...
Naye kapde nhi kharede hai... Fhate-Purane kapde pehan rakha hai...
Udhaar ki underwear pehan rakha hai...

Business ka kuch ho nhi rha hai...
Ghar reconstruction, renovation ho nhi pa raha hai....
Job ka koi ata-pata nhi hai...
Umar ka pahiya badta ja rha hai...

Kbhi mausi ki ladki ko sambhalo...
Kbhi bhai ki betiya ko paalo...
Roti Belo... Kapde dho... Bartan manjho... Kamra saaf karo... Kapde press kro..
Gulamo jaisa apna Jeevan ho gya hai...

-  ⛅

No comments: