Sunday, May 27, 2018

Bina neend wali raat aur GuNn ki yaad...

Bina neend wali raat aur GuNn ki yaad...

Purani ik pair se tooti hui mejh pe rakha GuNn ki yaadon sang Gulab ke Phoolon ka Guldasta apni mehak bikher raha tha...
Jiski mehak se RaJ ko beech-beech mein chhek bhi aa jaati thi...

Roz wala Chuhaa, Roz ki tarah RaJ ke bistar pe aakar chehalkadmi kar laut gaya tha...
Macchar aa jaate the RaJ ko tang karne...
Deewar pe chipkali, maccharon ke peeche daud laga rahi thi...
Zameen pe lal rang wali cheentiya qataar banake kahi ja rahi thi...

Gali ke Teen Pille apni Maa-Kutiya sang milkar Sher bane kisi pe bhoke ja rahe the...

Haawan bhi maatam mana rahi thi... Thami padi thi...
Taare bhi aasman mein garmi se kadak rahe the...
Chand zor-shor se apni Chandani bikhere hue tha...
Baba adab zamane ka pankha apni mari hui Nani ko ro raha tha... Dheere-dheere Ghadi ke Kaante ki speed se chal raha tha...

Chehare pe bina koi bhaav liye, aankhein khole, pasine se sarabor hua RaJ, GuNn ki yaadon mein khoya hua beshud sa bistar pe pada hua tha...

Na jaane kaun si Virasat sambhale laita hua tha...

- RaJ

No comments: