Sunday, May 6, 2018

Kisaan Pareshan...

Barsaat adhik ho to Kisaan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisaan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisaan Pareshan...
Fhasal adhik ho to laagat mulya nahi milta, Kisaan Pareshan...

Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisaan Pareshan...
Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badata hua daam...
Kisaan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisaan...
Kisaan Pareshan...

Kabhi kudrati aafatein ujaad jaati hai fhasal...
Kabhi sarkaar bada deti hai beej ke daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisaan Pareshan...

Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisaan Pareshan...

Na Bima rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaron... Dabango... Sahukaron ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisaan Pareshan...

Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udha na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai is Desh mein Kisaan ka dusara naam hi hai Pareshan...

- Romil RaJ

No comments: