Tuesday, May 22, 2018

Meri Pyari GuNn...

Meri Pyari GuNn...

Uske padchaap sunte hi...
Main bistar chhodkar uth baithata tha...
Dono baahein fhelakar usko ishara kiya karta tha...

Uske chehare ki muskaan...
Uske mridul swabhav ke aage mein natmastak ho jaata tha...

Jab woh mere qareeb aati thi uske ghane kaale baal aur jheel si kaali aankhon mein, main kahi kho jaata tha...

Poore Aspataal ka mahool khushnuma ho jaata tha...
Har Roz yahi silsila chalta rehta tha...

Ik din maine himmat karke bol hi diya...
"Ek meharbani karogi...
Tum RaJ ki ban jaogi...
Iske do fayde honge...
Ik to RaJ ko yunh roj-roj bimari ka natak nahi karna padega...
Aur Dusara tumko bhi Kam Mehantana mein aacha naukar mil jayega"

Woh zor se hasne lagi...
"Boli... Main apne badan ki sugand pehle hi kisi pe loota chuki hun...
Ik bete ki maa bhi hun...
Jyada samay Operation Theatre mein rehti hun isliye suhaag ki nishani nahi pehan pati hun...  Gale mein mangal-sutra nahi latka pati hun...
Mera saath tumhe sirf coffee ki table tak hi milega..."

Pehle Aspataal mehakaya jaata tha, ab se coffee table pe gulab sajaya jaata tha...
Har Roz yahi silsila chalta rehta tha...

- RaJ

No comments: