Monday, May 28, 2018

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Ammi kehti thi...

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...
Bhukhmari, Kangaali nahi di hai...

Kabhi bhookha nahi sulaya,
Kabhi kisi ke aage haath fhelane nahi diya...
Izzat kabhi nilaam nahi hone di hai...
Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Garibi bhi uski Rehmat se milti hai...
Kyonki Garibi mein insaan Ahankaari nahi hota hai...
Dusaron pe Krodh, Apshabd kehne se bachata hai...
Roti ka kabhi Anadar nahi karta hai...
Dusare Garib ke dukh-dard ko samajhata hai... Dil mein karuna ka bhaav rakhta hai...
Khuda ki bandagi mein rehta hai, uski dargah mein jholi fhelaye rehta hai...
Cheezon ki kadr karna seekhata hai...
Thode mein hi Sukhi rehta hai...
Santosh se Jeevan jeena seekhata hai...

Badi Naseeb se Fakiri milti hai...
Jo Dherya, Shanti ke saath Garibi ko jee jata hai, woh Safal ho jaata hai...

Kuch le ke to na Sikandar gaya tha is jahan se na Akbar...

#Romil Raj

No comments: