Thursday, June 21, 2018

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

jiske saath Rab ne bana di Jodi...
Usi ke saath zindagi beeta dete hai...
Zakhm laakh mile...
Na uff karte hai... Na kisi ko kuch batate hai...
Bas labon ko muskaan se sajaye rehte hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

pani matke ka peete hai...
chatai bichakar zameen pe sote hai...

mehlon ki khawaish nahi humko...
jhopadi mein girdhar gopal ko baithate hai...

chidiyon ko dana dalte hai,
cheentiyon ko gur khilate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

aam ko chhus kar hi khaate hai...
daal-chawal ko haaton se khaate hai...

ram-ram bhajte hai...
ram ki kahani gaate hai...
maut ke intezaar mein zindagi bitate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
Ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

- raj

No comments: