Wednesday, June 20, 2018

Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...

Amma koi kahani sunao... neend aa jaye...
Apni goad mein litao, baalon pe haath fher kar halka-halka sehlao... ki neend aa jaye...

"Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...
dono mein beshumaar mohabbat thi...
dono ki zindagi thi suhani...

Jitni Rani thi Sushil, Guni...
Utna hi Raja tha Sahasi-Prakrami...

Poore Rajya mein dono ki amar thi prem kahani...
Bacchon-baachon ke mooh pe thi...unki kahani...

Door desh ke ek Yodha ka Rani pe Dil as gaya...
Woh usko haasil karne ke liye Shadyantra pe Shadyantra rachata raha...

kabhi daulat ka lalach diya...
kabhi koi rajya, raja ko tohfa mein diya...
kabhi daraya, dhamkaya...
ant mein Yudh ka niyota diya...

Yudh kai mahino tak chalta raha...
Yudh mein woh jeet na saka Raja se.. to
dhoke se usne Raja ko zehar dekar marwa diya... Uske saathiyon ko apne saath kar liya...

Raja ke rajya, sena pe fir us Yodha ne kabza kar liya....
Chala woh Yodha fir Rani ko kabzaane...

Rani ne bhi thaan liya...
Marr jayenge... Par Raja ke siwa kisi ke na soyenge sirhaane...

Mandir ka darwaza band kar liya Rani ne...
Sher pe sawaar Durga ko fir pranaam kiya...
Singhaar kiya khud ka... Khud ko dulhan ki tarah sajaya...
Pooja ki... aarti utari  Durga ki...
Bade se kund mein agni ka aahavaan kiya...
Agni ki lapton mein lagi khud ko jalane...

Charon taraf dhua ka khoob guwaar utha...
Chand lal ho utha...
Aasman nira kaala rang sa ho gaya...

Mar ke bhi apni preet amar kar hai,
Apni laash ko bhi Agni mein daah kar gai...

Dono Raja-Rani fir swarg mein mile...
Rab ke ghar mein ek-dusare ke hokar rahe...

Yodha sab kuch jeet ke bhi haar gaya...
Rani-Raja haar kar bhi apni preet amar kar gaye...

#Romil Arora

No comments: