Saturday, June 16, 2018

Radio... Buddha mil gaya...sanam teri qasam....

"main kya karu ram mujhe Buddha mil gaya...
hey... hey Buddha mil gaya..."

radio ke sang tum bhi gungunaye ja rahi thi...

maine bola tha... meri bhi same feeling hai...
"buddhiya mil gai... hey, hey... buddhiya mil gai"

tumne kahan tha... 
"buddhe hoge tum...main to abhi tak jawan hun... sirf umar se koi Buddha nahi hota... 

kam se kam tumhari tarah buddho ki tarah  pooja-path mein din bhar to nahi lagi rehti... yeh tumhari buddhon wali satsangi, sanskari baatein...uff"

maine kahan tha...
beer, whiskey, cigarettes peene se bhi koi rocking star nahi hota... Na hi yeh restaurant parties se koi hota hai... mexican, italian, chinese khaane se bhi log jawan nahi hote....

Radio bajta rehta tha...

"kitne bhi tu kar le sitam...
hans-hans ke sahenge hum...
yeh pyar na hoga kam...
sanam teri qasam... ho ho... sanam teri qasam..."

tum kehti thi... 
maine to nahi roka tumko aisa karne se... I'm successful working woman... I'm not housewife, I'm housewomen... Karna padta hai yeh sab... I'm deal with many types of peoples..

maine kaha tha...
Accepted... Main to accept karta hun... Tum mujhse bahud jyada qaabil ho, kamyab ho... smart ho... good looking... handsome ho...

tumne kahan tha...
Ab lagta hai shayad hum log topic se behak gaye hai... Topic tha "tum buddhe ho aur main jawan" okkk. It's true...

Radio baj-baj kar hum dono ke darmiya dooriyaan kam karta rehta tha...

"Chal teri baahon mein jaannat ko basayenge...
pyar ke is mandir ko chahat se sajayenge...

humne ghar chhoda hai...
rasmo ko toda hai...
door kahi jayenge hum...
Nai duniya basayenge..."

- raj

No comments: