Sunday, July 1, 2018

Radio... Baahon ke darmiya... Ankh hai bhari-bhari aur tum... Tera saath hai to mujhe kya kami hai...

Tumne kahan tha...
"Fhulke khaoge ya fir Chawal..."

Maine jawab diya tha...
"Jo easy lage tumko bana lo..."

"Chalo fir appa Fhulke sek lete hai..."
Tumne bola tha...

Radio dheere-dheere mausam ke saath karwatein le raha tha...

"Baahon ke darmiya....
Do pyar mil rahe hai...
Jaane kya bole mann,
Dole sunke badan,
Dhadkan bani jubaan"

Tumne kuch sochate hue bola tha...
"Aaj maine advocate se milkar apni property sab tumhare naam karwa di hai... Kal ko mai nahi rahi to sab tumhara ho jayega Mr..."

Maine pucha...
"Kis khushi mein yeh decision liya tumne...??

Waise aacha hai tumhare jaane ke baad main tumhari friends Sharma, Gill, Maan, Walia ke saath enjoy karunga... hahaha..."

Tumne kahan tha...
I'm serious... Sach keh rahi hun...

Main tab uthkar tumhare pass rasoi mein aaya...
"Chalo... Thoda fresh ho... Bahar Khana khane chalte hai... Yeh sab uthakar main fridge mein rakh deta hun... Tum jao thoda sa fresh ho..."

Paidal hi chalte hai..."

Door kahi se kaano mein radio ki awaaz aa rahi thi...

"Aankh hai bhari-bhari aur tum muskurane ki baat karte ho...
Zindagi khafa-khafa aur tum Dil lagane ki baat karte ho..."

Hum ek purane khandar se Ghar mein pravesh kiya... Thoda seedhi chalne ke baad upper Khane ka intezaam tha...

"Bujurg husband-wife khana banate aur khilate the"

"Humne do Thali order ki... Aur pathar ke sahare tiki hui lakdi ke patre pe baith gaye"

Fir maine tumse kaha...
"In bujurg ke paanch bacche hai, teen bete, do betiyan... Sabki shaadi ho gai... Sab apni-apni life mein busy hai... Kisi ne inki jimmedari nahi uthani chahi... Purana makaan tha purkon ka to isi mein Khane Khilane ka bana liya... Isi se inka guzara basar hota hai..."

"Tum jab South jao to wahan aisa bahut hai ghar mein khana Khilane ka rivaaz... keh sakte ho Dhaba, restaurant in house...

Khana khane... Payment dene ke Baad tumne kahan tha...
"Sach mein khana bahut aacha tha, ek dum ghar jaisa..."

Lautate hue maine tumse kaha...
"Madam... Main tumko sirf wahan khana khilane nahi le gaya tha, Balki dono ka pyar dikhane le gaya tha....

Itni Umar mein bhi dono saath zindagi ko narmata, pyar, vishwas ke saath jee rahe hai... 

Sab property yahi par reh jaani hai... khandar ban kar.... Kuch nahi saath Jaana hai... Apne dimaag se yeh chaalis ke chakkar nikal do...

Na rahe Pandav, Na rahe Kaurav, Na rahe Yaduvansi... Khamkha ho gai Mahabharat..."

Radio fir kaano mein gungunane laga... Hum icecream khate hue ghar wapas laut aaye...

"Tera saath hai to mujhe kya kami hai...
Ki Andheron ko bhi mil rahi Roshani hai..."

raj

No comments: