Monday, July 2, 2018

Radio... Dil Chori Sadda ho Gaya...chadti Jawani meri chaal mastani... Dil kahe ruk ja re ruk ja... Tum agar saath dene ka vaada karo...

"Dekho please mazaak mat karo... Meri tabiyat bahut kharab hai... Mujhe laite rehne do... Mere mobile se SMS kar do ki main aaj+kal medical leave pe rahungi...

Tumne bistar pe katvat lete hue kaha tha...

Radio... Baj raha tha...

"Dil Chori sadda Ho Gaya...
Asi Ki kariye... Ki kariye...
Naino mein kisi ke kho gaya...
Asi Ki kariye... Ki kariye..."

Mai Bola tha...
"Suno... Bas thermometer laga lo juban ke neeche... Fir laito aaram se... Mujhe check karne do bukhaar..."

"Tum doctor mat bano... Mujhe nahi lagana thermometer..."
Tum bol uthi thi...

Fir maine jabardasti tumhare mooh mein thermometer laga kar fever check kar liya...

Fir mobile pe doctor se concent karke medicine/ doses sms karwa li... Normal baat thi isliye doctor ko bulaya nahi, na hi usne aana jaruri samjha... 2nd day agar same condition rehti to jarur doctor ke pass lejakar check-up karwata... Ghar ke pass ki medical shop se jakar medicine le aaya..

Radio abhi bhi baj raha tha...
"Chadti Jawani meri chaal mastani
Tune kadar na jaane Rama...
Hey Rama..."

"Utho... Yeh dudh-bread kha lo... Fir medicine kha lo... Fir so Jaana"

Maine bola tha...

Tumne jawab diya tha...
"Nahi khana kuch bhi... Jao idhar se... Mujhe aaram karne do... Tum to chahte ho main jaldi marr jaun..."

Main tumko uthate hue, takiye ke sahare baithate hue bola tha...
"Nautanki nahi... Fhatafat dudh-bread Khao... Aur fir medicine Khao..."

Tumne gusse se bola tha...
"Pata nahi khamkha doctor bane fir rahe ho tum... Marr jaungi main..."

Main bola tha...
"Finish karo dudh... Medicine kaho aur aaram fharmao... Shaam tak theek ho jaogi... Main lunch ka kuch intezaam karta hun..."

"Mujhe nahi khana Lunch... Kuch bhi nahi khana..."
Tumne fhatafat jawab diya tha...

Radio tanha baje ja rahe tha...

"Dil kahe ruk ja re ruk ja... Yahi pe Kahi jo baat is jagah hai kahi pe nahi...
Jo baat is jagah hai kahi bhi nahi..."

Daant khakar tumne din mein Lunch bhi kiya... Shaam ko fir saath Sofe pe baithkar Chai bhi pi... Fever ab nadarat tha...

Radio baj raha tha...
"Tum agar saath dene ka vaada karo...
Main yuhi maat nagame sunata rahunga..."

raj

No comments: