Wednesday, July 4, 2018

Radio... My name is...aaj-kal tere mere pyar ke charche...tere karan mere sajan.... aaj se teri saari galliyaan...

"pyar karegi kya darne wali,
meri banegi koi himmatwali...
to jise meri yaad aaye, jab chahe chali aaye
roop mehal prem gali kholi number char sau bees...
My name is..."

Radio is umas bhare mausam ko bhi apne madhur geeto se bheego raha tha...

Tumne bola tha...
"Oye hero, 1000 rupiya dena..."

Mai bola tha...
"Sarkaar ne band kar diya hai 1000 rupia..." 

Tumne jawab diya tha...
"Do na Mr..."

Maine kahan tha...
"Are yaar... Mujhe 1000 rupiya dekhe hue kai saal beet gaye... 100 rupia chalega...

Tum boli thi...
"Tum hi rakho apna 100 rupia... 

Aacha suno, Friday ko mere saath morning mein mandir chalna... Maine Mata Rani ka Singhar karwaya hai Hum-Dono ke Naam se...

Aaj mazaar bhi gai thi to Maa ke Naam se Chadar chadai thi mazaar pe... Yeh gulab ka phool mila tha, isko mandir mein maa ki tasveer ke pass rakh dena zaraa..."

Radio apni dhun mein magan tha...

"aaj kal tere pyar ke charche har juban par
sabko maloom hai sabko khabar ho gai..."

Bed pe laitate hue tum boli thi...

"Main higher course ke liye Univerity mein apply karne ka plan bana rahi thi... Yeh material post se office mangawa tha.. Jyada tar correspondence rahega, bas exam dene jaana hoga... Woh main tumhare saath chali jayungi... Kuch 05-06 years period lagega... Tum kya kehte ho? Karu ya nahi?

Maine book ko apne tummy pe rakhte hue kaha tha...
"Isme mujhse puchane ki kaun si baat hai, tumko apni educational professional background ke liye better lag raha hai to apply kar do... Sab manage ho jayega"

Radio Dheere-Dheere svaro ko fizao mein ghol raha tha...

"tere qaran mere sajan
tere karan mere sajan
jaag ke fir so gai
sapno mein kho gai
aag lage saari duniya ko
main teri ho gai re Balma..."

Tumne bed pe meri taraf karwat lete hue kaha tha...
"Main 05-06 years tak ke liye Cap lagwana chahti hun, jab tak course complete na ho jaye... Maine apni friend lady doctor se baat ki thi... Usne kahan koi problem nahi hogi, ek baar tum-dono discuss kar lo... Tum kya kehte ho, lagwa lu?"

Maine fir Kitab ko apne bagal mein rakhte hue, glass se Pani peete hue kaha tha...

"Agar tum lagwana chahti ho to lagwa lo... Tumko jo better lage woh method use karna... Parso morning ka appointment le sakti ho apni doctor friend se... Tab dono saath chalte hai..."

Main fir Kitab ke panne palatne mein lag gaya... Tum course ka material, envelope se nikaal kar padne lagi... 

Radio ab bhi surili awaz mein baj raha tha...

"Aaj se teri saari galliyaan meri ho gai
Aaj se mera ghar tera ho gaya..."

- raj

No comments: