Tuesday, July 31, 2018

Suljhi hui dori mein, chand uljhe hue mere sawaal hai...

suljhi hui dori mein
chand uljhe hue mere sawaal hai...

mujhpe itna pyar kyon aa raha hai...
fir chhod jaane ka kya irada hai...

mujhpar taras kha ke mat aao...
jo mohabbat nahi to...
aag mein ghee daalne mat aao...

gusse aur gum mein itna confuse mat raha karo...
main gum mein chikhata hun... chillata hun...
gum mein sach likhta hun... bolta hun...
tum ise mera gussa mat samjha karo...

Maine to har baat pe teri Ameen kaha hai...
Tumne kaha "swaaha" ho jaye...
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "taken serious action against you"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "sms mat karo"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "khate ho... kaun sa mera khate ho"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "Galat Kiya"
Maine Ameen kaha...

Jis din tum kahogi "Dori toot jaye"
Main Ameen kahunga...

"Tere mangane pe Talaaq kya Apni Jaan bhi de du"

- RaJ

No comments: