Monday, August 27, 2018

Gair-Haazir rehne se behtar hai Haazri lagwa di jaye...

Gair-Haazir rehne se behtar hai Haazri lagwa di jaye.

(Tamam zindagi ki uljhane, pareshani dil-o-dimaag mein kaundhati rehti hai... Ghar ke masle ho ya fir bahari balaye...

Fir bhi Haazri Roz lagata hun... Kabhi bhi mohabbat-e-khuda ki nazar se ojhal nahi hone deta khud ko... Naaga nahi karta...

Gair-Haazir raha to is Mohabbat ki pariksha mein apne dil mein baithane bhi nahi dega mujhko...

Haazir raha to shayad girte-padte hi mohabbat-e-safar mein pass ho jayun...)

No comments: